Wednesday 12 December 2012

Gaye Ek Roz Huwi Unth Se Yun Garam-e-Sukhan


Gaye Ek Roz Huwi Unth Se Yun Garam-e-Sukhan

 (Bang-e-Dra-189) 

Gaye Ek Roz Huwi Unth Se Yun Garm-e-Sukhan
Nahin Ek Haal Pe Dunya Mein Kisi Shay Ko Qarar


Main To Badnaam Huwi Tor Ke Rassi Apni
Sunti Hun App Ne Bhi Tor Ke Rakh Di Hai Muhar

Hind Mein App Tawazooye Siasat Hain Aham
Rail Chalne Se Magar Dasht-e-Arab Mein Baikar


Kal Talak App Ko Tha Gaye Ki Mehfil Se Hazar
Thi Latakte Huwe Honton Pe Sadaye Zanhaar


Aaj Ye Kya Hai Ke Hum Par Hai Inayat Itni
Na Taha Aaeena-e-Dil Mein Woh Deerina Ghubaar

Jab Ye Taqreer Suni Unth Ne, Sharma Ke Kaha
Hai Tere Chahne Walon Mein Hamara Bhi Shumaar


Rashak-e-Sad Ghamzada-e-Ushtar Hai Teri Aik Kulail
Hum To Hain Aesi Kulailon Ke Purane Bimaar


Tere Hangamon Ki Taseer Ye Phaili Ban Mein
Be-Zubanon Mein Bhi Paida Hai Mazaq-e-Guftar

Aik Hi Ban Mein Hai Muddat Se Basera Apna
Gharche Kuch Paas Nahin, Chara Bhi Khate Hain Udhar

Go Safand-o-Shutar-o-Gao-o-Palang-o-Khar-e-Lang
Aik Hi Rang Mein Rangeen Hon To Hai Apna Waqar


Baghban Ho Sabaq Amoz Jo Yak Rangi Ka
Hum-Zuban Ho Ke Rahain Kyun Na Tayoor-e-Gulzar

De Wohi Jam Humain Bhi Ke Manasib Hai Yehi
Tu Bhi Sarshaar Ho, Tere Rufaqa Bhi Sarshaar

“Dalaq-e-Hafiz Bacha Arzad Ba Maish Rangeen Kun
Wanghash  Mast-o-Kharab Azrah-e-Bazar Byar”

Raat Machar Ne Keh Diya Mujh Se


 Raat Machar Ne Keh Diya Mujh Se

(Bang-e-Dra-190)

Raat Machar Ne Keh Diya Mujh Se
Majra Apni Na-Tamami Ka

Mujh Ko Dete Hain Aik Boond Lahoo
Sila Shab Bhar Ki Tashna Kaami Ka


Aur Ye Biswadar Be-Zehmat
Pe Gya Sub Lahoo Asami Ka

Ye Aaya'ay Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par

Ye Aaya'ay Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par

(Bang-e-Dra-191) 

Ye Aaya-e-Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par
Gita Mein Hai Quran To Quran Mein Geeta



Kya Khoob Huwi Aashti-e-Sheikh-o-Barhman
Iss Jang Mein Akhir Na Ye Hara Na Woh Jeeta


Mandar Se To Bezar Tha Pehle Hi Se ‘Badri’
Masjid Se Nikalta Nahin, Ziddi Hai ‘Masita’

Jaan Jaye Hath Se Jaye Na Satt


 Jaan Jaye Hath Se Jaye Na Satt

(Bang-e-Dra-192)


Jaan Jaye Hath Se Jaye Na Sat
Hai Yehi Ek Baat Har Mazhab Ka Tat



Chatte Batte Aik Hi Thaili Ke Hain
Sahu-Kari, Biswah Dari, Saltanat

Mehnat-o-Sarmaya Dunya Mein Saff Ara Ho Gye


Mehnat-o-Sarmaya Dunya Mein Saff Ara Ho Gye

(Bang-e-Dra-193) 

Mehnat-o-Sarmaya Dunya Mein Saf Aara Ho Gye
Dekhiye Hota Hai Kis Kis Ki Tamanaon Ka Khoon


Hikmat-o-Tadbeer Se Ye Fitna-e-Ashob
Tal Nahin Sakta 'Wa Qad Quntum Bihi Tastaajiloon'


‘Khul Gye’ Yajooj Majooj Ke Lashkar Tamam
Chashme-e-Muslim Dekh Le Tafseer-e-Harf-e-‘Yansiloon’

Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Vo Rind-e-Lam Yazil


 Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Vo Rind-e-Lam Yazil


(Bang-e-Dra-194)
Sham Ki Sarhad Se Rukhsat Hai Woh Rind-e-Lam-Yazil
Rakh Ke Maikhane Ke Sare Qaeede Balaye Taaq



Ye Agar Sach Hai To Hai Kis Darja Ibrat Ka Maqam
Rang Ek Pal Mein Badal Jata Hai Ye Neeli Riwaaq



Hazrat-e-Karzon Ko Ab Fikr-e-Madawa Hai Zaroor
Hukm Baradari Ke Maide Mein Hai Dard-e-La Yutaaq



Wafad Hindustan Se Karte Hain Sir Agha Khan Talab
Kya Ye Chooran Hai Pe-e-Hazm-e-Falasteen-o-Iraq

Takrar Thi Mazara'a-o-Malik Mein Aik Roz


Takrar Thi Mazara'a-o-Malik Mein Aik Roz

(Bang-e-Dra-195) 

Takrar Thi Mazara-o-Malik Men Aik Roz
Dono Ye Keh Rahe The, Mera Maal Hai Zameen


Kehta Tha Woh, Kare Jo Zaraat Ussi Ka Kahait
Kehta Tha Ye Ke Aqal Thikane Teri Nahin

Pucha Zameen Se Main Ne Ke Hai Kis Ka Maal Tu
Boli Mujhe To Hai Faqt Iss Baat Ka Yaqeen


Malik Hai Ya Mazara-e-Shourida Haal Hai
Jo Zair-e-Asman Hai, Woh Dharti Ka Maal Hai

Utha Kar Phenk Do Bahir Gali Mein


Utha Kar Phenk Do Bahir Gali Mein

(Bang-e-Dra-196) 

Utha Kar Phaink Do Bahir Gali Mein
Nayi Tehzeeb Ke Ande Hain Gande



Election, Memberi, Council, Sadarat
Banaye Khoob Azadi Ne Phande


Mian Najjar Bhi Cheele Gye Sath
Nihayat Taiz Hain Yourap Ke Rande

Kaarkhane Ka Hai Malik Mardak-e-Nakardah Kaar


 Kaarkhane Ka Hai Malik Mardak-e-Nakardah Kaar

(Bang-e-Dra-197)
Karkhane Ka Hai Malik Mardak-e-Na Kardah Kaar
Aysh Ka Putla Hai, Mehnat Hai Isse Na-Saazgar


Hukm-e-Haq Hai Lesa Lil-Insani Illah Ma Sa’aa
Khaye Kyun Mazdoor Ki Mehnat Ka Phal Sarmaya-Dar

Suna Hai Main Ne, Kal Ye Ghuftagu Thi Kaarkhane Mein


 Suna Hai Main Ne, Kal Ye Ghuftagu Thi Kaarkhane Mein


(Bang-e-Dra-198)

Suna Hai Main Ne, Kal Ye Guftagoo Thi Karkhane Mein
Purane Jhonparon Mein Hai Thikana Dast Karwan Ka

Magar Sarkar Ne Kya Khoob Council Haal Banwaya
Koi Iss Sheher Mein Takiya Na Tha Sarmaya Daron Ka

Masjid To Bana Di Shab Bhar Mein Iman Ki Hararat Walon Ne


 Masjid To Bana Di Shab Bhar Mein Iman Ki Hararat Walon Ne

(Bang-e-Dra-199-Book Complete)


Masjid To Bana Di Shab Bhar Mein Iman Ki Hararat  Walon Ne
Mann Apna Purana Papi Hai, Barsoun Mein Namazi Ban Na Saka


Kya Khoob Ameer-e-Faisal Ko Sannosi Ne Paigham Diya
Tu Naam-o-Nasb Ka Hijazi Hai Par Dil Ka Hijazi Ban Na Saka



Tar Ankhain To Ho Jati Hain, Kya Lazzat Iss Rone Mein
Jab Khoon-e-Jigar Ki Amaizish Se Ashak Piyazi Ban Na Saka



Iqbal Bara Updeshak Hai, Mann Baaton Mein Moh Leta Hai
Guftar Ka Ye Ghazi To Bana, Kirdar Ka Ghazi Ban Na Saka


Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...