Wednesday 19 December 2012

Mujh Ko To Ye Duniya Nazar Ati Hai Digargoon


 Mujh Ko To Ye Duniya Nazar Ati Hai Digargoon


HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-198)

(13)

Mujh Ko To Ye Dunya Nazar Ati Hai Digargoon
Maloom Nahin Dekhti Hai Teri Nazar Kya


Har Seene Mein Ek Subah-e-Qayamat Hai Namoodar
Afkar Jawanon Ke Huwe Zair-o-Zabar Kya

Kar Sakti Hai Be Maarka Jeene Ki Talaafi
Ae Peer-e-Haram Teri Manajaat-e-Sehar Kya


Mumkin Nahin Takhleeq-e-Khudi Khanqahon Se
Iss Shaola-e-Nam Khorda Se Toote Ga Sharar Kya !

Be Jura'at-e-Rindana Har Ishq Hai Robahi


Be Jura'at-e-Rindana Har Ishq Hai Robahi

HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-199) 

(14)

Be Juraat-e-Rindana Har Ishq Hai Rubahi
Bazoo Hai Qawi Jis Ka, Woh Ishq Yadullahi


Jo Sakhti-e-Manzil Ko Saman-e-Safar Samjhe
Ae Waye Tan Asani ! Na-Paid Hai Woh Raahi


Wehshat Na Samajh Iss Ko Ae Mard-e-Maidani !
Kuhsaar Ki Khalwat Hai Taleem-e-Khud Aagahi

Dunya Hai Rawayati, Uqba Hai Manajati
Darbaz Do-Alam Ra, Aeen Ast Shehanshahi !

Adam Ka Zameer Uss Ki Haqiqat Pe Hai Shahid


Adam Ka Zameer Uss Ki Haqiqat Pe Hai Shahid

HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-200) 

(15)
Adam Ka Zameer Iss Ki Haqiqat Pe Hai Shahid
Mushkil Nahin Ae Salik-e-Rah! Ilm-e-Faqeeri


Foulad Kahan Rehta Hai Shamsheer Ke Laeek
Paida Ho Agar Iss Ki Tabiat Mein Harairi


Khud-Dar Na Ho Faqr To Hai Qehr-e-Elahi
Ho Sahib-e-Ghairat To Hai Tamheed-e-Ameeri


Afrang Zakhud Be-Khabarat Kard Wagarna
Ae Banda-e-Momin! Tu Basheeri, Tu Nazeeri !

Qaumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se Judai


Qaumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se Judai


HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.CoM

(Zarb-e-Kaleem-201) 

(16)
Qoumon Ke Liye Mout Hai Markaz Se Juddai
Ho Sahib-e-Markaz To Khudi Kya Hai, Khudai!


Jo Faqr Huwa Talkhi-e-Douran Ka Gila Mand
Uss Faqr Mein Baqi Hai Abhi Bu-e-Gadai


Iss Dour Mein Bhi Mard-e-Khuda Ko Hai Mayyasar
Jo Maujaza Parbat Ko Bana Sakta Hai Rai

Dar Maarka Be-Souz-e-To Zauqe Natawaan Yaafat
Ae Banda-e-Momin Tu Kujai, Tu Kujai


Khursheed! Sara Parda-e-Mashriq Se Nikl Kar
Pehna Mere Kuhsar Ko Malboos-e-Hinai

Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko


Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko

HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-202) 

(17)

Aag Uss Ki Phoonk Deti Hai Barna-o-Peer Ko
Lakhon Mein Aik Bhi Ho Agar Sahib-e-Yaqeen

Hota Hai Koh-o-Dasht Mein Paida Kabhi Kabhi
Woh Mard Jis Ka Faqr Khazaf Ko Kare Nageen

Tu Apni Sar-Nawisht  Ab Apne Qalam Se Likh
Khali Rakhi Hai Khama-e-Haq Ne Teri Jabeen


Ye Neelgun Faza Jise Kehte Hai Asaman
Himmat Ho Par Kusha To Haqiqat Mein Kuch Nahin


Balaye Sar Raha To Hai Naam Uss Ka Asman
Zair-e-Par Aa Gya To Yehi Asam, Zameen!

Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne


 Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne


(Zarb-e-Kaleem-203)

(18)

Ye Nukta Khoob Kaha Sher Shah Suri Ne
Ke Imtiaz-e-Qabail Tamam Tar Khwari


Aziz Hai Unhain Naam-e-Waziri-o-Mehsood
Abhi Ye Khilaat-e-Afghaniat Se Hain Aari


Hazar Parah Hai Kuhasar Ki Musalmani
Ke Har Qabeela Hai Apne Buton Ka Zunnari


Wohi Haram Hai, Wohi Itebaar-e-Laat-o-Manaat
Khuda Naseeb Kare Tujh Ko Zarbat-e-Kari!

Nigah Vo Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane

Nigah Vo Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane


HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-204) 

(19)

Nigah Woh Nahin Jo Surkh-o-Zard Pehchane
Nigah Woh Hai Ke Mouhtaj-e-Mehr-o-Mah Nahin

Farang Se Bohat Aage Hai Manzil-e-Momin
Qadam Utha! Ye Maqam Intahaye Rah Nahin


Khule Hain Sub Ke Liye Ghareebon Ke Maikhane
Uloom-e-Taza Ki Sarmastiyan Gunah Nahin

Issi Suroor Mein Poshida Mout Bhi Hai Teri
Tere Badan Men Agar Souz-e-‘La Ilah’ Nahin


Sunain Ge Meri Sada Khanzadgan-e-Kabeer?
Gileem Posh Hon Main Sahib-e-Kulah Nahin!

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigahbani


Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigahbani


HaZaRvIpOeTrY.BlOgSpOt.cOm

(Zarb-e-Kaleem-205-Book Complete) 


(20)

Fitrat Ke Maqasid Ki Karta Hai Nigehbani
Ya Banda-e-Sehrai Ya Mard-e-Kuhistani

Dunya Mein Muhasib Hai Tehzeeb-e-Fasoon Gar Ka
Hai Iss Ki Faqeeri Mein Sarmaya-e-Sultani


Ye Husn-o-Latafat Kyun, Woh Quwwat-o-Shoukat Kyun
Bulbul Chamanistani, Shahbaz Byabani !

Ae Sheikh! Bohat Achi Maktab Ki Faza, Lekin
Banti Hai Byaban Mein Farooqi-o-Salmani


Sadiyon Mein Kahin Paida Hota Hai Hareef Uss Ka
Talwar Hai Taizi Mein Sehbaye Musalmani!

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...