Tuesday 10 December 2013

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa
 Na Thay


Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki

Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na
 Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay
 Meherbaan

Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na
 Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa
 Kiya

Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya
 Na Thay


Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke
 Ham

Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa
 Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha

Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa
 Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna
 “Faiz”

Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main
 guzaari,

Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain
 hum..

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge hum

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge
 hum,

Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..

Faiz Ahmad Faiz Poetry Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,

Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin
 dete..

Jab raat ki nagan dasti hai

Wasi Shah Poetry

Jab raat ki nagan dasti hai

Naas naas me zehar otarta hai

Jab chand ki kirnain tezi se

Uss dil ko cheer k ati hain

Jab ankh k andar hi ansoo

Zanjeron me bhand jate hain
Sab jazbon par cha jate hain

Tab yaad bahot tum ate ho

Jab dard ki bhanjar bajati hai

Jab raqas ghamon ka hota hai

Khawabon ki taal pe sare dukh

Wehshat k saaz bajate hain

Gate hain khawaish ki lee me

Masti me jhomate jate hain

Sab jazbon par cha jate hain

Tab yaad bahot tum ate ho

Tab yaad bahot tum ate ho

Raat ka pichala pehar hai

Raat ka pichala pehar hai

Matami malboos orahe


Dard ki un wadiyon se


Wehshaton k raste se


Lar-kharati


Dagamati


Baal khole


Bain karti


Chandani ko sath le kar


Meri janab chal pari hai


Aa rahi hai


Teri yaad

Be sabab to na thin teri yadain

Be sabab to na thin teri yadain

Teri yadon se kia nahin sekha

Zabat ka hosala bharha laina

Ansaon ko kahen chopa laina

Kampati dobati sadaon ka

Chop k chadar se dhanp kar rakhana

Be sabab bhi kabhi kabhi hansana

Jab bhi ho baat koi talkhi ki

Mozon goftago badal daina

Be sabab to nahin teri yadain

Teri yadon se kia nahin sekha

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai

Ye kab kaha tha nazron se khof ata hai

Mujhe to chand sitaron se khof ata hai

Me doshmano k kisi war se nahin darta

Mujhe to apne hi yaron se khof ata hai

Ghazan ka jabar to sene pe rook laite hain

Humen udas baharon se khof ata hai

Mile hain doston besakhiyon se gham itne

Mere badan ko saharon se khof ata hai
Me iltafat ki khandak se dor rehta hon

Taloqat k gharon se khof ata hai

Ab koi yaar hai na baili hai

Ab koi yaar hai na baili hai,

Zindagi dard ki saheli hai,

Uthne joga nahin hai tere baad,

Dil ne takleef aesi jhaili hai,

Sham se is liye mohabbat hai,

Teri yadon ke sath kheli hai,

Muztarib kyon na hoon shab-e-hijran,

Dard ki gaud mein akeli hai,

Koi batlaye khawab ka mafhoom,

Raat hai, saamp hai, chambeli hai,



In lakeeron mein tu nahin to Wasi,

Kitni veeran yeh hatheli hai..
 

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho Jaye

Jub Bhi Wo Shakhs “Wasi” Mujh Se Khafa Ho 
Jaye

Ik Sunami Mere Seenay Mein Bapaa Ho Jaye

Dil Mein Phir Kuch Bhi Nahi Hoga Khalaon Ke
 Siwa

TU Kisi Roz Agar Mujh Se Judaa Ho Jaye

Wo Bohat Rakhta Hai Chaahat Ki Namazon Ka 
Hisaab

Wo Tou Ik Sajda Na Bakhshay Jo Qazaa Ho 
Jaye

Thapkian De Ke Sulaati Hai Teri Yaad Hamain

Neend Jis Raat Bhi Aankhon Se Khafaa Ho Jaye

Ye Tareeqa Hai Mohabbat Ki Ibaadat Ka
 “Wasi”


Os Ko Chhuu Lenay Se Ik Rukun Adaa Ho Jaye

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa

Choomna kya usey aankhon se lagana kesa
,
Phool jo coat se gir jaye uthaana kesa,

Apne honton ki haraarat se jagaao mujh ko,

Yoon sadaaon se dam’e’subaah jagana kesa..

Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain

Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain,

Kitne barson ke sitam aankh main dar aye
 hain,

Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi
 kabhi,

Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain,
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi,

Mere aangan mein jo tootay huye par aaye 
hain,

Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne 
ka,

Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain,

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main

Wasi Shah Poetry

Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni 
main,

Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon 
mein 

mujhe,

Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi,

Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein 
mujhe,

Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil 
hai,

Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein 
mujhe..

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe,

Tumhain galey se laga loon to chain aaye 
mujhe,

Mohabbton ke saheefay hain ya azaab koi,

Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe..


Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,

Roshni aur baharain tumhi rakh lo jana,

Mere jugnu mere mausam wapis kar do,
Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,

Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,
Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,

Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,

Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,

Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,

Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,

Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..

Tum wahan ho, yahan nahin ho tum,

Tum wahan ho, yahan nahin ho tum,

Gham hi gham hain, jahan nahin ho tum,

Ab kisi aur simt dekhta hoon,

Ab mera aasmaan nahin ho tum,

Ishq zinda rahe ga mera,

Haan magar jaavedaa’n nahin ho tum,

Yeh zameen, aasman, hamara dil,

Har jagha ho, kahan nahin ho tum,

Tum karri dhoop ka safar na sahi,

Haan magar saayebaa’n nahin ho tum,

Meri yadain tumhare sar per hain,

Jane man! be’imaan nahin ho tum,

Kis liye aap aap karte ho,

Mujh se gar bad’gumaan nahin ho tum.
.

Jab tak tere aanchal se yeh paimaa’n bandhe hain

Jab tak tere aanchal se yeh paimaa’n bandhe
 hain,

Janaan, Mere laut aaney ke imkaa’n bandhe
 hain,

Us ko kabhi aati bhi nahin ho gi meri yaad,

Jis shakhs se har lamhaa mere dheyaa’n bache
 hain..

Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon Mein Mujhe

Saanp Hee Saanp Nazar Aatay Hain Khwaabon
 Mein Mujhe

Zindagi Ghairnay Waali Hai Azaabon Mein 
Mujhe

Ek Tasveer Thi Aur Wo Bhi Kaheen Guum Kar 
Di

Umer Bhar Dhoondna Ab Apni Kitaabon Mein
 Mujhe

Jab Se Utra Hai Tere Dard Ka Nasha Mujh Mein

Lutf Aata Nahi Duniya Ki Sharaabon Mein 
Mujhe

Wo Mujhe Chhorr Gaya Tha Kisi Rangeeni Mein

Wo Jo Ab Dhoondta Rehta Hai Kharaabon Mein
 Mujhe


Tum Ne Ek Umer Kia Hai Nazar Andaaz “Wasi”

Aur Ab Dhoondtay Phirtay Ho Saraabon Mein 
Mujhe

Zaroob-o-Taqseem “Wasi” Ishq Mein Laa
 Haasil Hai

Jaanay Kiun Khojtay Rehtay Ho Hisaabon 
Mein Mujhe ?

Meine ghar ke sarey mausam

Meine ghar ke sarey mausam,

Sab deewarain,


Saarey pardey,


Yaadon se rang daaley hain,


Tum aao ge,


Tum is ghar ki har khirrki,


Har bagheechey,


Har ik goshay ko,


Apne rang mein dooba hua mehsus karo ge,


Aajao na!!


Aa bhi jao!!


Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene

Kab nahin naaz uthaye hain tumhare mene,

Dekho aanchal pe sajaye hain sitare mene,

Wohi lamhaat asaasa hain mere jeevan ka,

Jo tere qurb mein lamhaat guzaarey mene,

Roz aate hain mujhe yaad tere zulm-o-sitam,

Roz khanjar keyi seeney mein utare mene,

Har bahana tera aankhon mein saja kar rakha,

Apne seeney se lagaye tere laaray mene,

Meri pooron se mehek ati rahi hai din bhar,

Jab bhi khawbon mein tere baal sanwarey mene,

Teri chokhatt pe keyi baar huyi mujh ko shikast,

Teri dehleez pe aansu keyi haarey mene,

Meri awaaz akeli hi palat kar aayi,

Jab musibat mein kabhi yaar pukarey mene..

Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai

Teri har baat se anjaan bhi ho sakta hai
,
Dil-e-wehshi, dil-e-nadaan bhi ho sakta hai,

Hum jahan beth ke taaron se teri baat karain,

Woh kisi jism ka dalaa’n bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik bherriya* jungle mein hua karta hai,

Kal isi bhaiss* main insaan bhi ho sakta hai,

Ain mumkin hai jisey dil ke bajaye thaamon,

Ab kisi shokh ka damaan bhi ho sakta hai,

Titliyaan nochney* ka jurm kiya hai jis ne,

Woh mere sheher ka sultaan bhi ho sakta hai,

Aaj dil mein teri yadon ke diye jalte hain,

Kal yehi rasta sunsaan bhi ho sakta hai,

Jo tujhe aur kisi ka hone nahin deta,

Yeh mere ishq ka imkaan bhi ho sakta hai,

Yeh jo ik shakhs tujhe dekh kar roshan hai bohat,

Bujh bhi sakta hai yeh veeraan bhi ho sakta hai..

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain

Kahin jaye usey meri duyayen yaad karti hain,

Usey kehna usey meri wafayain yaad karti 
hain,

Main aksar aayiney ke samne bechain rehti 
hoon,

Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain,

Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut 
aye,

Usey kehna december ki hawaayain yaad karti 
hain,

Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si 
chaayi hai,

Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad
 karti hain,

Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le 
jata,

Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti 
hain..

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye
 Mujhe

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?

Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi

Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo

Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna

Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay

Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi

Ab magar kuch bhi nain, kuch bhi nahin ho


sakta,

Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,

Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na 
karo

Sari raat ki jaagi aankhein

Sari raat ki jaagi aankhein,

College mein kiya parrhti hon gi,

Yunhi khoye, dil hi dil mein,

Jaanay kiya kiya karti hon gi,

Sari raat ki jaagi aankhen,

Koi bolay, kaan na dharna,

Koi hillay to ek dam darna,

Koi daikhe in ka barhna,

Apne aap say larti hon gi,

Sari raat ki jagi aankhein,

Apni kitaabein phartey rehna,

Us ki baaten kartey rehna,

Us ki yaadein ghartey rehna,

Jeetay jeetay marti hon gi,

Sari raat ki jagi aankhein,

College mein kiya parrhti hon gi..

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na chun

Maan lai ab bhi meri jaan-e-adaa, dard na
 chun,

Kaam aati nahin phir koi duaa, dard na chun,

Aur kuch dair mein mujh ko chale jana hoga,

aur kuch dair mujhe khawab dikha, dard na
 chun,

Aik bhi dard na kam hoga keyi sadiyon mein,

Ab bhi kehta hoon tujhe waqt bachaa, dard na
 chun,

Woh jo likha hai kisi taur nahin ttal sakta,

Aa mere dil main koi deep jala, dard na chun,

Main tere lamss se mehroom na rah jaaon 
kahin,

Aakhri baar mujhe khud se laga, dard na chun,

Ab to yeh raishmi purain bhi chaddi jati hain,

Khud ko ab bakhssh bhi de, zulm na dhaa, 
dard na chun,

Yeh nahin hon ge to khali nahin ho jaon ga
 mein,

Mere zakhmon se koi geet bana, dard na chun,

Kuch na de ga yeh masaayel se ulajhtey 
rehna,

Chorr sab kuch meri banhon mein samaa, dard
 na chun..

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...