Saturday 8 December 2012

(Bang-e-Dra-162) Jawab-e-Khizar ( جواب خضر)


(Bang-e-Dra-162) Jawab-e-Khizar

( جواب خضر)

This poem is posted in two parts
1. Khizar-e-Rah (Read Khizar-e-Rah)
2. Jawab-e-Khizar (This post)

Jawab-e-Khizar

Sehra Nawardi
Kyun Taajub Hai Meri Sehra Nawardi Par Tujhe
Ye Taga Pooye Dama Dam Zindagi Ki Hai Daleel


Ae Raheen-E-Khana Tu Ne Woh Saman Dekha Nahin
Goonjti Hai Jab Faza’ay  Dasht Mein Bang-E-Raheel


Rait Ke Teele Pe Woh Aaho Ka Be Parwa Kharaam
Woh Hazar Be Barg-O-Saman, Woh Safar Be Sang-O-Meel


Woh Namood-E-Akhtar-E-Simab Pa Hangam-E-Subah
Ya Numayan Baam-E-Gardoon Se Jibeen-E-Jibraeel (A.S.)

Woh Sakoot-E-Sham-E-Sehra Mein Gharoob-E-Aftab
Jis Se Roshan Tar Huwi Chashm-E-Jahan Been-E-Khalil (A.S.)


Aur Woh Pani Ke Chashme Par Maqam-E-Karwan
Ahl-E-Aeeman  Jis Tarah Jannat Mein Gird-E-Salsabeel


Taza Weerane Ki Soda’ay Mohabbat Ko Talash
Aur  Abadi Mein Tu Zanjeeri Kisht-O-Nakheel


Pukhta Tar Hai Gardish-E-Peham Se Jaam-E-Zindagi
Hai Yehi Ae Be-Khabar Raaz-E-Dawam-E-Zindagi

Zindagi

Bartar Az Andesha’ay Sood-O-Ziyan Hai Zindagi
Hai Kabhi Jaan Aur Kabhi Tasleem-E-Jaan Hai Zindagi

Tu Isse Pemana’ay Amroz-O-Farda Se Na Naap
Javidan, Peham Dawan, Har Dam Jawan Hai Zindagi


Apni Dunya Ap Paida Kar Agar Zindon Mein Hai
Sirr-E-Adam Hai, Zameer-E-Kun Fikan Hai Zindagi


Zindagani Ki Haqiqat Kohkan Ke Dil Se Pooch
Jooye Sheer-O-Teesha-O-Sang-E-Garan Hai Zindagi

Bandagi Mein Ghat Ke Reh Jati Hai Ek Jooay Kam Aab
Aur Azadi Mein Beher-E-Bekaran Hai Zindagi


Ashkara Hai Ye Apni Quwwat-E-Taskheer Se
Gharche Ek Mitti Ke Paikar Mein Nihan Hai Zindagi


Qulzam-E-Hasti Se Tu Ubhra Hai Manind-E-Habab
Iss Ziyan Khane Mein Tera Imtihan Hai Zindagi


Kham Hai Jab Tak To Hai Mitti Ka Ek Anbar Tu
Pukhta Ho Jaye To Hai Shamsheer-E-Bezanhar Tu

Ho Sadaqat Ke Liye Jis Dil Mein Marne Ki Tarap
Pehle Apne Paikar-E-Khaki Mein Jaan Paida Kare


Phoonk Dale Ye Zameen-O-Asman-E-Mastaar
Aur Khakstar Se Ap Apna Jahan Paida Kare

Zindagi Ki Quwwat-E-Pinhan Ko Kar De Ashakar
Ta Ye Chingari Furogh-E-Javidan Paida Kare


Khak-E-Mashriq Par Chamak Jaye Misal-E-Aftab
Ta Badkhishan Phir Wohi Laal-E-Giran Paida Kare

Suay Gardoon Nala-E-Shabgeer Ka Bheje Safeer
Raat Ke Taron Mein Apne Raazdan Paida Kare


Ye Ghari Mehshar Ki Hai, Tu Arsa’ay Mehshar Mein Hai
Paish Kar Ghafil, Amal Koi Agar Daftar Mein Hai !


Saltanat
Aa Bataon Tujh Ko Ramz-E-Aaya-E-INNAL MULOOK
Saltanat Aqwam-E-Ghalib Ki Hai Ek Jadoogari


Khawab Se Baidar Hota Hai Zara Mehkoom Agar
Phir Sula Deti Hai Uss Ko Hukamran Ki Sahiri


Jadoo-E-Mehmood Ki Taseer Se Chashm-E-Ayaz
Dekhti Hai Halqa-E-Gardan Mein Saaz-E-Dilbari


Khoon-E-Israel Aa Jata Hai Akhir Josh Mein
Torh Deta Hai Koi Musa (A.S.) Tilism-E-Samri


Sarwari Zaiba Faqat Uss Zaat-E-Be Hamta Ko Hai
Hukamran Hai Ek Wohi, Baqi Bootan-E-Azri


Az Ghulami Fitrat-E-Azad Ra Ruswa Makun
Ta Tarashi Khawajah Ae Az Barhaman Kafir Teri


Hai Wohi Saaz-E-Kuhan Maghrib Ka Jamhoori Nazam
Jis Ke Pardon Mein Nahin Ghair Az Nawa’ay Qaisari


Deo Istabdad Jamhoori Qba Mein Paye Koob
Tu Samjhta Hai Ye Azadi Ki Hai Neelam Pari


Majlis-E-Aaeen-O-Islah-O-Ra’ayaat-O-Haqooq
Tib-E-Maghrib Mein Maze Mithe, Asar Khawab Awri


Garmi-E-Ghuftar-E-Aza’ay Majaalis, Al-Aman !
Ye Bhi Ek Sarmaya Daron Ki Hai Jang-E-Zargari

Iss Sarab-E-Rang-O-Bu Ko Gulistan Samjha Hai Tu
Aah Ae Nadad! Qafas Ko Ashiyan Samjha Hai Tu

Sarmaya-O-Mehnat

Banda’ay Mazdoor Ko Ja Kar Mera Pegham De
Khizar Ka Pegham Kya, Hai Ye Peyam-E-Kainat

Ae Ke Tujh Ko Kha Gya Sarmayadar-E-Heela Gar
Shakh-E-Aahu Par Rahi Sadiyon Talak Teri Barat

Dast-E-Doulat Afreen Ko Muzd Yun Milti Rahi
Ehl-E-Sarwat Jaise Dete Hain Gharibon Ko Zakat

Sahir-E-Muut Ne Tujh Ko Diya Barg-E-Hasheesh
Aur Tu Ae Bekhabar Samjha Isse Shakh-E-Nabat

Nasal, Qoumiat, Kalisa, Saltanat, Tehzeeb, Rang
Khawajgi Ne Khoob Chun Chun Ke Banaye Muskirat


Kat Mara Nadan Khiyali Deota’on Ke Liye
Sukr Ki Lazzat Mein Tu Lutwa Gya Naqd-E-Hayat


Makr Ki Chalon Se Bazi Le Gya Sarmayadar
Intaha’ay Sadgi Se Kha Gya Mazdoor Maat


Uth Ke Ab Bazm-E-Jahan Ka Aur Hi Andaz Hai
Mashriq-O-Maghrib Mein Tere Dour Ka Aghaz Hai


Himat-E-Aali To Darya Bhi Nahin Karti Qabool
Ghuncha Saan Ghafil Tere Daman Mein Shabnam Kab Talak


Naghma’ay Baidari-E-Jamhoor Hai Saman-E-Aysh
Qissa’ay Khawab Awar-E-Iskandar-O-Jim Kab Talak


Aftab-E-Taza Paida Batan-E-Geeti Se Huwa
Asman! Doobe Huay Taron Ka Matam Kab Talak


Torh Dalain Fitrat-E-Insan Ne Zanjeerain Tamam
Doori Jannat Se Roti Chasm-E-Adam Kab Talak


Baghban-E-Chara Farma Se Ye Kehti Hai Bahar
Zakhm-E-Gul Ke Waste Tadbeer-E-Marham Kab Talak!


Karmak-E-Nadan! Tawaf-E-Shama Se Azad Ho
Apni Fitrat Ke Tajalli Zaar Mein Abad Ho


Dunya-e-Islam

Kya Sunata Hai Mujhe Turk-O-Arabki Dastan
Mujh Se Kuch Pinhan Nahin Islamiyon Ka Souz-O-Saaz


Le Gye Taslees Ke Farzand Meeras-E-Khalil (A.S.)
Khisht-E-Bunyad-E-Kalisa Ban Gyi Khak-E-Hijaz


Ho Gyi Ruswa Zamane Mein Kulah-E-Lala Rang
Jo Sarapa Naz The, Hain Aaj Majboor-E-Niaz

Le Raha Hai Mai Faroshaan-E-Farangistan Se Paras
Woh Mai’ay Sarkash Hararat Jis Ki Hai Meena Gudaz


Hikmat-E-Maghrib Se Millat Ki Ye Kaifiyat Huwi
Tukre Tukre Jis Tarah Sone Ko Kar Deta Hai Gaaz


Ho Gya Manind-E-Aab Arzaan Musalman Ka Lahoo
Muztarib Hai Tu Ke Tera Dil Nahin Dana’ay Raaz


Guft Rumi “Har Banaye Kuhna Ka Badaan Kunand”
Mee Nadani “Awal Aan Bunyad Ra Weeran Kunand”


Nasal Agar Muslim Ki Mazhab Par Muqadam Ho Gyi
Urh Gya Dunya Se Tu Manind-E-Khak-E-Reh Guzar


Moumiyai Ki Gadai Se To Behter Hai Shikast
Moor-e-Be Par! Hajatay Paish-e-Sulimanay Mabar

Rabt-o-Zabt-e-Millat-e-Baiza Hai Mashriq Ki Nijaat
Asia Wale Hain Iss Nukte Se Ab Tak Be-Khabar

Phir Siasat Chorh Kar Dakhil Hisar-e-Deen Mein Ho
Mulk-o-Doulat Hai Faqat Hifz-e-Haram Ka Ek Samar

Aik Hon Muslim Haram Ki Pasbani Ke Liye
Neel Ke Sahil Se Le Kar Ta Bakhak-e-Kashghar

Jo Kare Ga Imtiaz-e-Rang-o-Khoon, Mit Jaye Ga
Turk-e-Khargahi Ho Ya Araabi Wala Guhar


Nasal Agar Muslim Ki Mazhab Par Muqadam Ho Gyi
Urh Gya Dunya Se Tu Manind-E-Khak-E-Reh Guzar


Ta Khilafat Ki Bina Dunya Mein Ho Phir Ustawar
La Kahin Se Dhoond Kar Aslaaf Ka Qalb-O-Jigar


Ae Ke Nashna See Khafi Ra Az Jali Hushyar Bash
Ae Giraftar-E-Abubakr (R.A.)-O-Ali (R.A.)  Hushyar Bash


Ishq Ko Faryad Lazim Thi So Woh Bhi Ho Chuki
Ab Zara Dil Thaam Kar Faryad Ki Taseer Dekh

Tu Ne Dekha Satwat-E-Raftar-E-Darya Ka Urooj
Mouj-E-Muztar Kis Tarah Banti Hai Ab Zanjeer Dekh


Aam Huriyat Ka Jo Dekha Tha Khawab Islam Ne
Ae Musalman Aaj Tu Uss Khawab Ki Tabeer Dekh


Apni Khakstar Samundar Ko Hai Saman-E-Wujood
Mar Ke Phir Hota Hai Ye Jahan-E-Peer, Dekh


Khol Kar Ankhain Mere Ayna-E-Guftar Mein
Ane Wale Dour Ki Dhundli Si Ek Tasveer Dekh


Azmudah Fitna Hai Ek Aur Bhi Gardoon Ke Pas
Samne Taqdeer Ke Ruswayi-E-Tadbeer Dekh


Muslim Asti Seena Ra Az Arzoo Abad Dar
Har Zaman Paish-E-Nazar ‘La Yukhalif Ul Meead’ Dar

2 comments:

  1. We Give out personal loans for debt consolidation, bad credit loans, unsecured loans, loans for bad credit and instant secured loans with cheap rates Do you have a firm or company that need loan to startup a business or need, personal loan, Debt consolidation? For more information. We will provide you with loan to meet your needs. For more information contact Note: And many More:and many more at 2%interest rate; (Whats App) number: +919394133968 patialalegitimate515@gmail.com Mr Jeffery

    ReplyDelete

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...