Monday 10 December 2012

Digargoon Jahan Un Ke Zor-e-Amal Se


(Armaghan-e-Hijaz-33)

 Digargoon Jahan Un Ke Zor-e-Amal Se

 (دگرگوں جہاں ان کے زور عمل سے) 

(12)
Digargoon Jahan Un Ke Zor-E-Amal Se
Bare Maarke Zinda Qoumon Ne Mare



Munjam Ki Taqweem-E-Farda Hai Batil
Giray Aasman Se Purane Sitare


Zameer-E-Jahan Iss Qadar Atisheen Hai
Ke Darya Ki Moujon Se Tootay Sitare


Zameen Ko Faraghat Nahin Zalzalon Se
Numayan Hain Fitrat Ke Bareek Ishare



Hamala Ke Chashme Ubalte Hain Kab Tak
Khizar Sochta Hai Woolar Ke Kinare

Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qaumon Ka


(Armaghan-e-Hijaz-34)

 Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qaumon Ka

 (نشان یہی ہے زمانے میں زندہ قوموں کا) 

(13)
Nishan Yehi Hai Zamane Mein Zinda Qoumon Ka
Ke Subha-O-Sham Badalti Hain In Ki Taqdeerain




Kamal-E-Sidq-O-Marawwat Hai Zindagi In Ki
Maaf Karti Hai Fitrat Bhi In Ki Taqseerain

Qalanderana Ada’en, Sikandarana Jalal
Ye Ummatain Hain Jahan Mein Barhana Shamsheerain



Khudi Se Mard-E-Khud Agah Ka Jamal-O-Jalal
K Ye Kitab Hai, Baqi Tamam Tafseerain




Shikwa-E-Eid Ka Munkir Nahin Hun Mein, Lekin
Qabool-E-Haq Hain Faqat Mard-E-Hur Ki Takbeerain


Hakeem Meri Nawa’on Ka Raaz Kya Jane
Wara’ay Aqal Hain Ahl-E-Junoon Ki Tadbeerain

Che Kafarana Qimar-e-Hayat Mee Bazi


(Armaghan-e-Hijaz-35)

 Che Kafarana Qimar-e-Hayat Mee Bazi

(چہ کافرانہ قمارحیات می بازی)

(14)
Che Kafarana Qimar-E-Hiyat Mee Bazi
Kh Ba Zamana Ba-Sazi Bakhud Namee Sazi


Digar Bamadrasa Haye Haram Namee Beenam
Dil-E-Junaid-O-Nigah-E-Ghazali-O-Razi


Bahukam-E-Mufti-E-Azam Ke Fitrat-E-Az Leest
Badeen-E-Suawa Haraam Ast Kar-E-Shahbazi

Haman Faqeeh-E-Azal Guft Jurrah Shaheen Ra
Basman Garwi Baz  Mein Na Pardazi


Manam Ke Tauba Na Kardam Zfaash Goi Haa
Zbeem-E-Ayn Ke Basultan Kunand Ghammazi


Badast-E-Ma Na Samarqand Wa Ne Bukhara Aeest
Dua Bagoz Faqeeran Ba Turk-E-Sheerazi

Zameer-e-Maghrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai Rahbana


(Armaghan-e-Hijaz-36)

 Zameer-e-Maghrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai Rahbana

(ضمیر مغرب ہے تاجرانہ ، ضمیر مشرق ہے راہبانہ)

(15)
Zameer-e-Magrib Hai Tajirana, Zameer-e-Mashriq Hai Rahabana
Wahan Digargoon Hai Lehza Lehza, Yahan Badalta Nahin Zamana


Kinar-E-Darya Khizar Ne Mujh Se Kaha Ba-Andaz-E-Mehramana
Sikandari Ho, Qalanderi Ho, Ye Sub Tareeke Hain Sahirana


Hareef Apna Samajh Rahe Hain Mujhe Khudayan-E-Khanqahi
Unhain Ye Dar Hai Ke Mere Nalon Se Shiq Na Ho Sang-E-Ashiyana


Ghulam Qoumon Ke Ilm-O-Irfan Ki Hai Yehi Ramz Ashakara
Zameen Agar Tang Hai To Kya Hai, Fizaye Gardoon Hai Be-Karana

Khabar Nahin Kya Hai Naam Iss Ka, Khuda Farebi Ya Khud Farebi
Amal Se Farigh Huwa Musalman Bana Ke Taqdeer Ka Bahana



Meri Aseeri Pe Shakh-E-Gul Ne Ye Keh Ke Sayyad Ko Rulaya
Ke Aese Pursouz Naghma Khawan Ka Giran Na Tha Mujh Pe Ashiyana

Hajat Nahin Ae Khita'ay Gul Sharah-o-Byan Ki


(Armaghan-e-Hijaz-37) 

Hajat Nahin Ae Khita'ay Gul Sharah-o-Byan Ki

 (حاجت نہیں اے خطہ گل شرح و بیان کی) 


Hajat Nahin Ae Khitta’ay Gul Sharah-O-Bayan Ki
Tasveer Humare Dil-E-Purkhoon Ki Hai Lalah


Taqdeer Hai Ek Naam Makafat-E-Amal Ka
Dete Hain Ye Pegham Khudayan-E-Hamala

Sarma Ki Hawaon Mein Hai Uryan Badan Uss Ka
Deta Hai Hunar Jis Ameeron Ko Doshala


Umeed Na Rakh Doulat-E-Dunya Se Wafa Ki
Ram Uss Ki Tabiyat Mein Hai Manind-E-Ghazala

(Armaghan-e-Hijaz-38) Khud Agahi Ne Sikhla Di Hai Jis Ko Tan Faramoshi


(Armaghan-e-Hijaz-38)

 Khud Agahi Ne Sikhla Di Hai Jis Ko Tan Faramoshi 

(خود آگاہی نے سکھلا دی ہے جس کو تن فراموشی)

(17)
Khud Agahi Ne Sikhla Di Hai Jis Ko Tan-Faramoshi
Haram Ayi Hai Uss Mard-E-Mujahid Par Zarah Poshi

Aan Azam-e-Buland Awar Aan Soz-e-Jigar Awar


 (Armaghan-e-Hijaz-39)

 Aan Azam-e-Buland Awar Aan Soz-e-Jigar Awar

(آن عزم بلند آور آن سوز جگر آور) 

(18)
Aan Azam-E-Buland Awar Aan Soz-E-Jigar Awar
Shamsheer-E-Pidr Khawahi Bazoo’ay Padar Awar

Ghareeb-e-Shehar Hun Mein, Sun To Le Meri Faryad


(Armaghan-e-Hijaz-40)

 Ghareeb-e-Shehar Hun Mein, Sun To Le Meri Faryad

 (غریب شہر ہوں میں، سن تو لے میری فریاد) 

(19)
Ghareeb-E-Shehar Hon Mein, Sun To Le Meri Faryad
Ke Tere Sine Mein Bhi Hon Qayamatain Abad


Meri Nawa’ay Gham Aalood Hai Mataa-E-Aziz
Jahan Mein Aam Nahin Doulat-E-Dil Na-Shaad


Gila Hai Mujh Ko Zamane Ki Kaur Zauqi Se
Samjhta Hai Meri Mehnat Ko Mehnat-E-Farhad



Sada’ay Tesha K Bar Sang Mei-Khud Degar Ast
Khabar Bageer K Awaz-E-Tesha Wa Jigar Ast


* Sada'ay Taisha...Ye shair Mirza Janjanan Mazhar Alaih-e-Rehmata Ke Mashoor Bayaz 'Kharitah-e-Jawahir' mein hai.

(Armaghan-e-Hijaz-41) Sir Akbar Haideri, Sadar-e-Azam Haiderabad Dakkan Ke Naam (سر اکبر حیدری، صدر اعظم حیدرآباد دکن کے نام)


(Armaghan-e-Hijaz-41)

 Sir Akbar Haideri, Sadar-e-Azam Haiderabad Dakkan Ke 

Naam 

(سر اکبر حیدری، صدر اعظم حیدرآباد دکن کے نام) 

Sir Akbar Haideri, Sadar-E-Azam Haidar Abad Dakkan Ke Naam


Tha Ye Allah Ka Farman K Shikwa-E-Parwaiz
Do Qalander Ko K Hain Iss Mein Mulukana Sifaat


Mujh Se Farmaya K Le, Aur Shehanshahi Kar
Husn-E-Tadbeer Se De Ani-O-Fani Ko Sibat


Mein To Iss Bar-E-Amanat Ko Uthata Sar-E-Dosh
Kaam-E-Darvesh Mein Har Talakh Hai Manind-E-Nabat


Ghairat-E-Faqr Magar Kar Na Saki Iss Ko Qabool
Jab Kaha Uss Ne Ye Hai Meri Khudai Ki Zakaat !

(Armaghan-e-Hijaz-43-Book Complete) Hazrat-e-Insan (حضرت انسان)


(Armaghan-e-Hijaz-43-Book Complete) Hazrat-e-Insan 

(حضرت انسان) 

Hazrat-E-Insan


Jahan Mein Danish-O-Beenish Ki Hai Kis Darja Arzani
Koi Shay Chup Nahin Sakti K Ye Alam Hai Noorani




Koi Dekhe To Hai Bareek Fitrat Ka Hijab Itna
Numayan Hain Farishton Ke Tabassum Haye Pinhani

Ye Duniya Dawat-E-Didar Hai Farzand-E-Adam Ko
Ke Har Mastoor Ko Bakhsha Gya Hai Zauq-E-Uryani

Ye Farzand-E-Adam Hai K Jis Ke Askh-E-Khooni Se
Kiya Hai Hazrat-E-Yazdan Ne Daryaon Ko Toofani



Falak Ko Kya Khabar Ye Khaakdaan Kis Ka Nasheeman Hai
Gharz Anjum Se Hai Kis Ke Shabistan Ki Nighebani


Agar Maqsood-E-Kul Main Hun To Mujh Se Mawara Kya Hai
Mere Hungama Ha’ay Nau Ban Nau Ki Intiha Kya Hai?

(Bal-e-Jibril-175) Falsafi


(Bal-e-Jibril-175) Falsafi

Falsafi


Buland Baal Tha,Lekin Na Tha Jasoor-o-Ghayyur
Hakeem Sirr-e-Mohabbat Se Be-Naseeb Raha


Phira Fazaon Mein Kargas Agarche Shaheen-War
Shakar-e-Zinda Ki Lazzat Se Be-Naseeb Raha

(Bal-e-Jibril-176) Shaheen

(Bal-e-Jibril-176) Shaheen

Shaheen


Kiya Mein Ne Uss Khakdan Se Kinara
Jahan Rizq Kanaam Hai Aab-o-Dana

Bayaban Ki Khalwat Khush Ati Hai Mujh Ko
Azal Se Hai Fitrat Meri Rahbana


Na Bad-e-Bahari, Na Gulcheen, Na Bulbul
Na Beemari-e-Naghma-e-Ashiqana

Khayabanion Se Hai Parhaiz Lazim
Adaen Hain In Ki Bohat Dilbarana


Hawa-e-Bayaban Se Hoti Hai Kari
Jawan Mard Ki Zarbat-e-Ghaziyana


Hamam-o-Kabootar Ka Bhooka Nahin Main
Ke Hai Zindagi Baaz Ki Zahidana


Jhapatna, Palatna, Palat Kar Jhapatna
Lahoo Garam Rakhne Ka Hai Ek Bahana

Ye Poorab, Ye Pacham Chakoron Ki Dunya
Mera Neelgun Asman Baikarana

Prindon Ki Dunya Ka Dervaish Hun Mein
Ke Shaheen Banata Nahin Ashiyana

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...