Wednesday, 4 December 2013

Har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai Mirza Ghalib

Har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
Mirza Ghalib 



har ek baat pe kahate ho tum ki tuu kyaa hai
tumhii.n kaho ke ye a.ndaaz-e-guftaguu kyaa hai



na shole me.n ye karishmaa na barq me.n ye adaa
koii bataao ki vo shoKh-e-tu.ndaKhuu kyaa hai



ye rashk hai ki vo hotaa hai hamasuKhan hamase
vagarnaa Khauf-e-badaamozii-e-ad kyaa hai



[rashk=jealousy; hamasuKhan=some who agrees with you]
[Khauf=fear; aamozii=teaching; aduu=enemy]



chipak rahaa hai badan par lahuu se pairaahan
hamaarii jeb ko an haajat-e-rafuu kyaa hai



[pairaahan=dress/cloth/robe; haajat=need; rafuu=darning]


jalaa hia jism jahaa.N dil bhii jal gayaa hogaa
kuredate ho jo ab raakh justajuu kyaa hai



rago.n me.n dau.Date phirane ke ham nahii.n qaayal
jab aa.Nkh hii se na Tapakaa to phir lahuu kyaa hai



vo chiiz jisake liye hamako ho bahisht aziiz
sivaa_e baadaa-e-gulfaam-e-mushkabuu kyaa hai



[bahisht=heaven; baadaa=wine; gulfaam=delicate/like a flower]
[mushkabuu=the smell of musk]



piyuu.N sharaab agar Khum bhii dekh luu.N do chaar
ye shiishaa-o-qadaah-o-kuuzaa-o-subuu kyaa hai



[Khum=wine barrel, qadaah=goblet, subuu=wine pitcher ]


rahii na taaqat-e-guftaar aur agar ho bhii
to kis ummiid pe kahiye ke aarazuu kyaa hai



[guftaar=speech]


banaa hai shaah kaa musaahib, phire hai itaraataa
vagarnaa shahar me.n "Ghalib" kii aabaruu kyaa hai



[musaahib=associate]

1 comment:



  1. Read online Urdu Digests,Urdu Books,Novels,Magazines,Safarnama,Islamic Books,http://bookspoint.net/







    ReplyDelete

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...