Faiz Ahmad Faiz Poetry
Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke
Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke
Baad ?
Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki
Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton
Ke Baad ?
Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-
e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad
Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat
Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton
Ke Baad
Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa
Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton
Ke Baad
No comments:
Post a Comment