Wednesday, 11 December 2013

Qateel Shifai Poetry


Sadmaa to hai mujhe bhi ke tujhse judaa hoon
 main,


Lekin yeh sochta hoon ke ab tera kya hoon
 main,

Mein khudkushi ke jurm ka karta hoon aitraaf,

Apne badan ki kabr mein, kab se garrhaa hoon
 mein,

Kis kis ka naam laaon zubaan par ke tere saath ,

Har roz ek shaks neya dekhta hoon ,

Kyaa jaane kis adaa se liya tu ne mera naam ,

Duniyaa samajh rahi hai, ke sab kuch tera hoon main,

Le mere tajrubon se sabak, aye mere raqeeb,

Do-chaar saal umar mein, tujhse barra hoon main,

Jaaga huwa zameer woh aiyeena hai “Qateel”,

Soney se pehlay roz, jisey dekhta raha hoon main..

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...