Tuesday, 10 December 2013

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa
 Na Thay


Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay

Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki

Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na
 Thay

Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay
 Meherbaan

Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na
 Thay

Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa
 Kiya

Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya
 Na Thay


Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke
 Ham

Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa
 Na Thay

Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha

Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa
 Na Thay

Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna
 “Faiz”

Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...