Wednesday, 11 December 2013

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup Raho

Qateel Shifai Poetry

Siskian Leti Howi Ghamgeen Hawaon, Chup 
Raho

So Rahain Hain Dard, In Ko Mat Jagao, Chup
 Raho

Raat Ka Pathar Na Pighlay Ga Shuaaon Ke 
Bagair

Subaah Honay Tak Na Bolo Ham Nawao,
 Chup Raho

Band Hain Sab Mai Kaday, Saaqi Banay Hain 
Mohtasib

Ay Garajti Goonjti Kaali Ghataaon,Chup Raho
Tum Ko Hai Maaloom Aakhir Kon Sa Mausam 
Hai Ye

Fasl-e-Gul Aanay Talak Ay Khushnawao, 
Chup Raho
Soch Ki Deewaar Se Lag Kar Hain Gham 
Baithay Howay

Dil Mein Bhi Naghma Na Koi Gungunao, Chup
 Raho

Chhat Gaye Haalaat Ke Baadal Tou Dekha
 Jaaye Ga


Waqt Se Phele Andhairay Mein Na Jao, Chup 
Raho

Kiun Shareek-e-Gham Banaatay Ho Kisi Ko 
Ay “Qateel” ?

Apni Sooli Apne Kaandhay Per Uthaao, Chup 
Raho

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...