Wednesday, 12 December 2012

Ye Aaya'ay Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par

Ye Aaya'ay Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par

(Bang-e-Dra-191) 

Ye Aaya-e-Nau, Jail Se Nazil Huwi Mujh Par
Gita Mein Hai Quran To Quran Mein Geeta



Kya Khoob Huwi Aashti-e-Sheikh-o-Barhman
Iss Jang Mein Akhir Na Ye Hara Na Woh Jeeta


Mandar Se To Bezar Tha Pehle Hi Se ‘Badri’
Masjid Se Nikalta Nahin, Ziddi Hai ‘Masita’

2 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. Hamaare dilnasheen aur muhtaram Shaa'ir e Mashriq aur Hakeem e Millat Dr. Shaikh Muhammad Iqbal Rahmatallahu Alaihi na sirf aik saahib e ilm o fazeelat insaan the, balkeh aik muhaqqiq e adayaan aur falsafi e wahdatulwajood aur wahdatushshahood bhi!

    Main unka aik adna maddaah aur qaari e muhibb hoon. Agarche meri zabaan e maadari Bangali hai taaham Urdu jo mere mulk ki Ganga Jamani tahzeeb ki aaindaar waahid zabaan hai aur jiski tahseel mein zindagi ke 38 saal main ne sarf kiye hain, aaj mujhko Allama marhoom ki Farsi aur Urdu kulliyaat par usi tarah musbit o malhooz rahkti hai jis tarah main Gurudev Rabindra Nath Tagore ki omnibus mein ghanton mahw e mat'aala rahta hoon.

    Main naheen jaanta keh Allama marhoom tahseel e haq mein kis manzil ko pahunch kar yeh aalishaan nazm kah gaye the magar choonkeh main ne bhi Iraq mein 4 saal guzaar kar Quraan Majeed ko parhne aur samajhne ki be had koshish ki hai aur riwaayati Sanatan Dharm se waabasta rah kar Shrimad Bhagawat Geeta ko Sanskrit zabaan main asl aur Bangali mein tarjuma ko baar ha baar aur saal ha saal parha hai, yahan sirf Qur'aan ki aik aayat e kareema ko pahle aur phir Geeta ke aik shlok ko uske baad pesh karta hoon. Agar koi Arabi aur Sanskrit donon zabaanon ka aalim ho woh in donon ka mua'aazna kar ke isi nateeje ko pahunchega keh Allama marhoom koi tanz o mizaah naheen balkeh aik wahdatushshuhood ki nishaandahi pesh kar geye hain un mutanaffir insaani tabaqon ke waastey, jo deen aur dharam ka jhoota qaziyya abaad kiye phirte hain. Allah/Ishwar/Bhagwaan mere haqbeen aur muhtaram Allama Iqbal ki rooh ko azeez o saleem rakhey!

    'QUL YAA IBAADILAZEENA ASRAFUU ALAA ANFUSIKUM! LAA TAQNATUU MIRRAHMATILLAAHI! INNALLAAHA YAGHFIRUZZUNOOBA JAMEEYYAH! INNAHUU HUAL GHAFOORURRAHEEM!' (Alqur'aanil Majeed)

    'SARWA DHARMAANI PARITTYAJJAM MAAM EKAM SHARANAM VRAJAH! AHAM TWAA SARWA PAAPEVYO MOKHSHAYISHYYAAMI! MAA SHUCHAH!' (Shrimad Bhagawat Geeta)

    AE GHAIB TU KAI AZ KARAMAT RU BENUMAAYI? DAR CHASHM E MAN E KOR CHU BARQEY NAZAR AAYI! (Shyamal Mitra - Calcutta. India)

    ReplyDelete

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...