Aa k meri jaan main qaraar nahein hai
Aa k meri jaan main qaraar nahein hai
Taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahein hai
[qaraar=rest/repose, bedaad=injustice]
Dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
Nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahein hai
[hayaat = life; dahar = world]
[baa_andaazaa = according to; Khumaar = intoxication]
Giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
Haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahein hai
[giriyaa = weeping; iKhtiyaar = control]
Ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahein hai
[abas=indifferent; gumaan=suspicion; ranjish=unpleasantness;]
[Khaak=ashes/dust; ushshaq=lovers; Gubaar=clouds of dust]
Dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahein hai
[ma_anii = meanings, Gair-e-gul = other than blossoms ]
Qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
Vaaye! agar ahad ustavaar nahein hai
[ahad = promise, baare = at last, ustavaar = firm/determined ]
Tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
Terii qasam ka kuchh aitabaar nahein hai
[mai_kashii = boozing; aitabaar = trust/faith]
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteGreat
ReplyDelete