Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
Aah ko chaahiye ik umr asar hone tak
Kaun jiitaa hai terii zulf ke sar hone tak
Daam har mauj me.n hai halqaa-e-sad_kaam-e-nahang
Dekhe.n kyaa guzare hai qatare pe gauhar hone tak
[daam = net/trap; mauj = wave; halqaa = ring/circle]
[sad = hundred; nahang = crocodile; gauhar = pearl]
Aashiqii sabr-talab aur tamannaa betaab
Dil kaa kyaa rang karuu.N Khuun-e-jigar hone tak
[sabr-talab=patient]
Ham ne maanaa ke taGaaful na karoge lekin
Khaak ho jaaye.nge ham tum ko Khabar hone tak
[taGaaful=neglect/ignore]
Partav-e-Khuur se hai shabanam ko fanaa kii taaliim
Mai.n bhii huu.N ek inaayat kii nazar hone tak
[partav-e-Khuur = sun's rays; shabanam=dew]
[fanaa = perish; inaayat = favour]
Yak_nazar besh nahii.n fursat-e-hastii Gaafil
Garmii-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hone tak
[besh = excess; Gaafil = ignorant]
[raqs = dance; sharar = flash/fire]
Gam-e-hastii kaa 'Asad' kis se ho juz marg ilaaj
Shammaa har rang me.n jalatii hai sahar hone tak
[juz = other than; marg = death]
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete