Wednesday 11 December 2013

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain
 Ge

Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge

Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain
 Ge

Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain
 Ge

Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi

Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay 
Rahain Ge

Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko
 Ganwaara

Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain
 Ge


Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi
 Mey Se

Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain
 Ge

Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se
 Paida

Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay
 Rahain Ge

Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko
 Mubaarak

Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain
 Ge

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...