Wednesday 11 December 2013

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?

Faiz Ahmad Faiz Poetry

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?

Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?

Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……

Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho 
Jaana

Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena

Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa
 Lena

Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi
 Ro Lena


Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena

Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena

Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga
 Lena……!

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...