Qateel Shifai Poetry
Ru-Baruu Wo Hai Ibaadat Kar Raha Hun
Oske Chehray Ki Tilaawat Kar Raha Hun
Lo Kharido Ik Nazar Ke Moul Mujhko
Apni Qeemat Mein Riyaayat Kar Raha Hun
Li Hai Sabr-o-Zabt Ne Mujh Se Ijaazat
Apne Mehmaanon Ko Rukhsat Kar Raha Hun
Chhin Gaya Mulk-e-Jawaani Bhi Tou Kia Gham ?
Ab Bhi Yaadon Per Hukoomat Kar Raha Hun
Koi Bhi Gham Osko Loutaaya Nahi Hai
Yun Amaanat Mein Khayaanat Kar Raha Hun
Osne Tou Bas Ik Zara Si Baat Chehri
Mein Wazaahat Per Wazaahat Kar Raha Hun
Ishq Karke Aap Bhi Ban Jaayein Insaan
Sheikh Sahaab Ko Naseehat Kar Raha Hun
Aashiqui Tufaan-e-Girya Chahti Hai
Aur Mein Aahon Per Qana’at Kar Raha Hun
Aasmaan Jo Shaks Hai Sab Ki Nazar Mein
Osko Chhuu Lainay Ki Jurrat Kar Raha Hun
Mein Ne Dekha Hai Qateel Os Ka Saraapa
Mein Kahaan Zikr-e-Qayamat Kar Raha Hun ???
No comments:
Post a Comment