Tuesday 10 December 2013

Tum mere dard bhi, gham bhi,

Tum mere dard bhi, gham bhi,

alaam bhi tum,


Tumn mera chain ho jana, mera 


araam bhi tum,

Kamyaabi ko nahin hum ne tumhe

 chahaa hai 

,
Hum tumhare hain bhaley ho gaye


 nakaam bhi tum,

Main maseeha hoon agar, mera 


wazeefa tum ho,

Main hoon mujri
m meri jaan mera

 ilzaam bhi tum,

Kya zaroorat hai mujhe dard ke

 me’khaanon ki

,
Tumhi nasha, tumhi paimaana


, mera jaam bhi tum


,
Mukhtlif se bahaanon se mujhe


 sochtey ho,


Aik din khul ke pukaro ge mera


 naam bhi tum,
Yeh seyaasat bhi ajab khail hai


 bholey panchi

,
Yahan seyaad bhi tum ho, to teh’daam bhi tum,
Jis se roshan mera aangan

 hai tumhi ho woh


 chiraag
,
Sach to yeh hai ke tumhi ghar

 ho, dar-o-baam bhi tum,
Raat din tum ko faqat tum ko

 mujhe sochna hai
,
Meri furssat bhi tumhi aur mera


 har kaam bhi tum..

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...