Wednesday 4 December 2013

Ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa Mirza Ghalib

Ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
Mirza Ghalib 



ye na thii hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa
agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa



tere vaade par jiye ham to ye jaan jhuuTh jaanaa
ke Khushii se mar na jaate agar aitabaar hotaa



terii naazukii se jaanaa ki ba.Ndhaa thaa ahd_bodaa
kabhii tuu na to.D sakataa agar ustavaar hotaa



[ahd=oath, ustavaar=firm/determined ]


koii mere dil se puuchhe tere tiir-e-niimakash ko
ye Khalish kahaa.N se hotii jo jigar ke paar hotaa



[tiir-e-niimkash=half drawn arrow, Khalish=pain ]


ye kahaa.N kii dostii hai ke bane hai.n dost naaseh
koii chaaraasaaz hotaa, koii Gam_gusaar hotaa



[naaseh=councellor, chaarasaaz=healer, Gamgusaar=sympathizer]


rag-e-sang se Tapakataa wo lahuu ki phir na thamataa
jise Gam samajh rahe ho ye agar sharaar hotaa



[rag=nerve, sang=stone, sharaar=flash]


Gam agarche jaa.N_gusil hai, pe kahaa.N bache.n ke dil hai
Gam-e-ishq gar na hotaa, Gam-e-rozagaar hotaa



[jaa.N_gulis=life threatning ]

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...