Wednesday 4 December 2013

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye Mirza Ghalib

diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
Mirza Ghalib 



diyaa hai dil agar us ko, bashar hai kyaa kahiye
huaa raqiib to ho, naamaabar hai, kyaa kahiye



[bashar=man/human being; raqiib=opponent; naamaabar=messenger ]


ye zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qazaa se shikavaa hame.n kis qadar hai, kyaa kahiye



[qazaa=death; shikavaa=complaint]


rahe hai yuu.N gah-o-begah ke kuu-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman kaa ghar hai, kyaa kahiye



[gah=proper and improper time/vaqt be-vaqt; kuu-e-dost=friend's street]


zih-e-karishma ke yuu.N de rakhaa hai hamako fareb
ki bin kahe hii u.nhe.n sab Khabar hai, kyaa kahiye



samajh ke karate hai.n baazaar me.n vo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahaguzar hai, kyaa kahiye



[pursish-haal=to enquire about one's wellbeing; sar-e-rahaguzar=common road]


tumhe.n nahii.n hai sar-e-rishtaa-e-vafaa kaa Khayaal
hamaare haath me.n kuchh hai, magar hai kyaa kahiye



u.nhe.n savaal pe za_om-e-junuu.N hai, kyuu.N la.Diye
hame.n javaab se qat_a-e-nazar hai, kyaa kahiye



[za_om=pride; junuu.N=madness/frenzy;
 qata'a-e-nazar=to ignore/nazare.n churaanaa]


hasad sazaa-e-kamaal-e-suKhan hai, kyaa kiije
sitam, bahaa-e-mata_a-e-hunar hai, kyaa kahiye



[hasad=envy; sitam=oppression, bahaa=price; mata_a=property/saamaan]


kahaa hai kisane ki "Ghalib" buraa nahii.n lekin
sivaay isake ki aashuftaa_sar hai kyaa kahiye



[aashuftaa_sar=mentally deranged/sar-phiraa]

3 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...