Wednesday 4 December 2013

Na huii gar mere marane se tasallii na sahii Mirza Ghalib

Na huii gar mere marane se tasallii na sahii
Mirza Ghalib 



na huii gar mere marane se tasallii na sahii
imtihaa.N aur bhii baaqii ho to ye bhii na sahii



Khaar-Khaar-e-alam-e-hasarat-e-diidaar to hai
shauq gulachiin-e-gulistaan-e-tasallii na sahii



may parastaa.N Khum-e-may muu.nh se lagaaye hii bane
ek din gar na huaa bazm me.n saaqii na sahii



nafaz-e-qais ke hai chashm-o-charaaG-e-saharaa
gar nahii.n shama-e-siyahaKhaanaa-e-lailaa na sahii



ek ha.ngaame pe maukuuf hai ghar kii raunak
noh-e-Gam hii sahii, naGmaa-e-shaadii na sahii



na sitaaish kii tamannaa na sile kii parawaah
gar nahii.n hai mere ashaar me.n maane na sahii



isharat-e-sohabat-e-Khubaa.N hii Ganiimat samajho
na huii "Ghalib" agar umr-e-tabii_ii na sahii

No comments:

Post a Comment

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...