Muddat huii hai yaar ko mahamaa.N kiye hue
Mirza Ghalib
muddat huii hai yaar ko mahamaa.N kiye hue
josh-e-qadah se bazm charaaGaa.N kiye hue
[qadah=goblet ]
karataa huu.N jamaa phir jigar-e-laKht-laKht ko
arsaa huaa hai daavat-e-mizshgaa.N kiye hue
[laKht=piece, mizshgaa.N=eyelid ]
phir vazaa-e-ehatiyaat se rukane lagaa hai dam
baraso.n hue hai.n chaak girebaa.N kiye hue
[vazaa=conduct/behaviour, ehatiyaat=care, chaak=torn, girebaa.N=collar ]
phir garm_naalaa haaye sharar_baar hai nafas
muddat huii hai sair-e-charaaGaa.N kiye hue
[sharar_baar=raining sparks of fire, nafas=breath ]
phir pursish-e-jaraahat-e-dil ko chalaa hai ishq
saamaa.N-e-sad_hazaar namak_daa.N kiye hue
[pursish=enquiry, jaraahat (or jiraahat)=surgery, sad=hundred]
[namak_daa.N=container to keep salt ]
phir bhar rahaa huu.N Khaamaa-e-mizshgaa.N baa_Khuun-e-dil
saaz-e-chaman_taraazii-e-daamaa.N kiye hue
[ Khaama=pen, mizhgaa.N=eyelid, saaz=disposition, taraazii=consenting ]
baa_ham_digar hue hai.n dil-o-diidaa phir raqiib
nazzaaraa-o-Khayaal kaa saamaa.N kiye hue
[ham_digar=mutual/in betveen, saamaa.N=confront ]
dil phir tavaaf-e-kuu-e-malaamat ko jaaye hai
pi.ndaar kaa sanam_kadaa viiraa.N kiye hue
[tavaaf=circuit, kuu=lane/street, malaamat=blame]
[pi.ndaar=pride/arrogance, sanam_kadaa=temple ]
phir shauq kar rahaa hai Khariidaar kii talab
arz-e-mataa-e-aql-o-dil-o-jaa.N kiye hue
[talab=search, mataa=valuables ]
dau.De hai phir har ek gul-o-laalaa par Khayaal
sad_gul_sitaa.N nigaah kaa saamaa.N kiye hue
phir chaahataa huu.N naamaa-e-dil_daar kholanaa
jaa.N nazar-e-dil_farebii-e-unvaa.N kiye hue
[naama-e-dildaar=love letter, unvaa.N=title]
maa.Nge hai phir kisii ko lab-e-baam par havas
zulf-e-siyaah ruKh pe pareshaa.N kiye hue
[lab-e-baam=the corner of a terrace, siyaah=black/dark ]
chaahe phir kisii ko muqaabil me.n aarazuu
surme se tez dashnaa-e-mizshgaa.N kiye hue
[muqaabil=confronting, dashnaa=dagger, mizshgaa.N=eyelids ]
ik nau_bahaar-e-naaz ko taake hai phir nigaah
chehara furoG-e-mai se gulistaa.N kiye hue
[nau_bahaar-e-naaz=lover, furoG=light/bright ]
phir jii me.n hai ki dar pe kisii ke pa.De rahe.n
sar zer baar-e-minnat-e-darbaa.N kiye hue
[sar zer baare=bowed head]
jii Dhuu.NDhataa hai phir vahii fursat ke raat din
baiThe rahe.n tasavvur-e-jaanaa.N kiye hue
[tasavvur=imagination]
'Ghalib' hame.n na chhe.D ki phir josh-e-ashk se
baiThe hai.n ham tahayyaa-e-tuufaa.N kiye hue
[tahayyaa=determined ]
ReplyDeleteRead online Urdu Digests,Urdu Books,Novels,Magazines,Safarnama,Islamic Books,http://bookspoint.net/