Wednesday 4 December 2013

maharabaa.N ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt Mirza Ghalib


maharabaa.N ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
Mirza Ghalib


maharabaa.N ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt mai.n
 gayaa waqt nahii.n huu.N ke phir aa bhii na sakuu.N 

zauf me.n taanaa-e-aGayaar kaa shikvaa kyaa hai baat
 kuchh sar to nahii.n hai ke uThaa bhii na sakuu.N 

[zauf=weakness, taanaa=taunt, aGayaar=enemy,
 shikvaa=complaint

zahar milataa hii nahii.n mujhako sitam_gar varnaa
 kyaa qasam hai tere milane kii ke khaa bhii na sakuu.N

1 comment:



  1. Read online Urdu Digests,Urdu Books,Novels,Magazines,Safarnama,Islamic Books,http://bookspoint.net/







    ReplyDelete

Qateel Shifai Poetry Mein Oska Dost Hun, Wo Aitraaz Karta Tha Magar Wo Baatain Bhee Mere Khilaaf Karta Tha Suna Hai Gir Ke Me...